karishma humne dekha hai siyasat ki uDanon mein
karishma ham ne dekhā hai siyāsat kī uḌānoñ meñ
zamīñ be-lutf lagtī hai pahuñch kar āsmānoñ meñ
ye bādal kyoñ bhalā aapas meñ Takrā kar baraste haiñ
hamārī tarh kyā ye bhī baTe haiñ ḳhāndānoñ meñ
agar ik had muqarrar ho to ye tahzīb kī chiḌiyā
ulajh kar rah nahīñ saktī kabhī ūñchī uḌānoñ meñ
na karnā phir kabhī amn-o-amāñ kī guftugū ham se
sisaktī hai zabān-e-haq kuchh aise bad-zabānoñ meñ
chaman meñ kuchh parinde haiñ jo hijrat ke nahīñ qaa.il
mohabbat hai abhī zinda yahāñ nannhī sī jānoñ meñ
bahut bāteñ huiiñ lekin suno ik baat baaqī hai
abhī kuchh tiir baaqī haiñ siyāsat kī kamānoñ meñ
jahāñ pāmāl ho jaa.eñ hasīñ hoñToñ kī muskāneñ
lagā do aag tum aise khilaunoñ kī dukānoñ meñ
na jaane kis liye 'irfāñ' uḌī hai shāḳh se bulbul
bahut hai zā.iqa kaḌvā yahāñ ke āb-o-dānoñ meñ
karishma hum ne dekha hai siyasat ki uDanon mein
zamin be-lutf lagti hai pahunch kar aasmanon mein
ye baadal kyon bhala aapas mein Takra kar baraste hain
hamari tarh kya ye bhi baTe hain KHandanon mein
agar ek had muqarrar ho to ye tahzib ki chiDiya
ulajh kar rah nahin sakti kabhi unchi uDanon mein
na karna phir kabhi amn-o-aman ki guftugu hum se
sisakti hai zaban-e-haq kuchh aise bad-zabanon mein
chaman mein kuchh parinde hain jo hijrat ke nahin qail
mohabbat hai abhi zinda yahan nannhi si jaanon mein
bahut baaten huin lekin suno ek baat baqi hai
abhi kuchh tir baqi hain siyasat ki kamanon mein
jahan pamal ho jaen hasin honTon ki muskanen
laga do aag tum aise khilaunon ki dukanon mein
na jaane kis liye 'irfan' uDi hai shaKH se bulbul
bahut hai zaiqa kaDwa yahan ke aab-o-danon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.