kariye kabhi to koi si guftar saf saf
kariye kabhī to koī sī guftār saaf saaf
inkār saaf saaf yā iqrār saaf saaf
ham ko ghumā phirā ke nahīñ kahnā hai pasand
jo bhī hai dil meñ kahte haiñ ik baar saaf saaf
jaadū nigah meñ thā ki nigāheñ hī hukmarāñ
ik hī nazar meñ jurm kā iqrār saaf saaf
bechainī dil meñ chehre pe chhā.ī havā.iyāñ
barbādī ke haiñ 'ishq meñ āsār saaf saaf
sanjīda jis tarah se hue dekh kar use
dikhtā hai aap kā vo gunahgār saaf saaf
har-chand ḳhushbū sī vahī mahsūs ho rahī
dikhne lagā hai vo pas-e-dīvār saaf saaf
kariye kabhi to koi si guftar saf saf
inkar saf saf ya iqrar saf saf
hum ko ghuma phira ke nahin kahna hai pasand
jo bhi hai dil mein kahte hain ek bar saf saf
jadu nigah mein tha ki nigahen hi hukmaran
ek hi nazar mein jurm ka iqrar saf saf
bechaini dil mein chehre pe chhai hawaiyan
barbaadi ke hain 'ishq mein aasar saf saf
sanjida jis tarah se hue dekh kar use
dikhta hai aap ka wo gunahgar saf saf
har-chand KHushbu si wahi mahsus ho rahi
dikhne laga hai wo pas-e-diwar saf saf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.