karna hai ab safar mujhe taza hawa ke sath
karna hai ab safar mujhe taza hawa ke sath
Majid Jahangeer Mirza
MORE BYMajid Jahangeer Mirza
karnā hai ab safar mujhe taaza havā ke saath
guft-o-shunīd jaarī hai merī ḳhudā ke saath
mumkin hai āsmān ke siine ko chiir deñ
kuchh siskiyāñ ravāna huī haiñ du'ā ke saath
ab is se baḌh ke 'ājizī kī kyā misāl duuñ
dafnā diyā hai zo'm ko andhī anā ke saath
ik bojh hai dharā huā dil kī hudūd par
hogā mire vajūd se ruḳhsat qazā ke saath
maiñ apne zāviye se parakhtā huuñ dahr ko
aur intihā ko sochtā huuñ ibtidā ke saath
aksar maiñ saañs lene se kartā huuñ ijtināb
yā'nī ke jī rahā huuñ maiñ terī razā ke saath
'mājid' bhī terī ḳhalq meñ shāmil hai ai ḳhudā
aise na be-ruḳhī barat apne gadā ke saath
karna hai ab safar mujhe taza hawa ke sath
guft-o-shunid jari hai meri KHuda ke sath
mumkin hai aasman ke sine ko chir den
kuchh siskiyan rawana hui hain du'a ke sath
ab is se baDh ke 'ajizi ki kya misal dun
dafna diya hai zo'm ko andhi ana ke sath
ek bojh hai dhara hua dil ki hudud par
hoga mere wajud se ruKHsat qaza ke sath
main apne zawiye se parakhta hun dahr ko
aur intiha ko sochta hun ibtida ke sath
aksar main sans lene se karta hun ijtinab
ya'ni ke ji raha hun main teri raza ke sath
'majid' bhi teri KHalq mein shamil hai ai KHuda
aise na be-ruKHi barat apne gada ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.