karna jo mohabbat ka iqrar samajh lena
karnā jo mohabbat kā iqrār samajh lenā
ik baar nahīñ us ko sau baar samajh lenā
ham hoñ ki adū us meñ jo zulm kā shākī ho
kartā hī nahīñ tum ko vo pyaar samajh lenā
mar jaa.e magar jaanā us kī na ayādat ko
tum jis ko mohabbat kā bīmār samajh lenā
ban ban ke bigaḌtā hai vo kaam mohabbat meñ
āsān nahīñ jis ko dushvār samajh lenā
ġhaflat-kada-e-hastī jab kahte haiñ aalam ko
saudā hai phir apne ko hushiyār samajh lenā
mahfil meñ raqīboñ kī jaanā hai agar tum ko
sūrat se mujhe apnī bezār samajh lenā
dil par to lagāte ho tum tīr-e-nazar lekin
aahoñ ko hamārī bhī talvār samajh lenā
chheḌā jo mire aage phir tazkira-e-dushman
rakkhī huī hai mujh se takrār samajh lenā
poshīda 'hafīz' is meñ asrār-e-mohabbat haiñ
āsān nahīñ mere ash.ār samajh lenā
karna jo mohabbat ka iqrar samajh lena
ek bar nahin us ko sau bar samajh lena
hum hon ki adu us mein jo zulm ka shaki ho
karta hi nahin tum ko wo pyar samajh lena
mar jae magar jaana us ki na ayaadat ko
tum jis ko mohabbat ka bimar samajh lena
ban ban ke bigaDta hai wo kaam mohabbat mein
aasan nahin jis ko dushwar samajh lena
ghaflat-kada-e-hasti jab kahte hain aalam ko
sauda hai phir apne ko hushiyar samajh lena
mahfil mein raqibon ki jaana hai agar tum ko
surat se mujhe apni bezar samajh lena
dil par to lagate ho tum tir-e-nazar lekin
aahon ko hamari bhi talwar samajh lena
chheDa jo mere aage phir tazkira-e-dushman
rakkhi hui hai mujh se takrar samajh lena
poshida 'hafiz' is mein asrar-e-mohabbat hain
aasan nahin mere ashaar samajh lena
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-35 Page Number-89)
- Author : Tufail Ahmad Ansari
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.