karne ke sare kaam tasalli se kijiye
karne ke saare kaam tasallī se kījiye
āġhāz din kā raat kī marzī se kījiye
lagtā hai achchhā vaqt pe apne har ek kaam
tāḳhīr jitnī karnī hai jaldī se kījiye
lahroñ kā jhagḌā jā.egā donoñ kināroñ tak
dariyā kī saarī bāteñ na kashtī se kījiye
detī hai kyuuñ sabhī ko kisī ek kī sazā
kuchh to muzākarāt is āñdhī se kījiye
karnā hai sab ko Thiik mohabbat kī maar ne
sab kā ilaaj us hī davā.ī se kījiye
karne ke sare kaam tasalli se kijiye
aaghaz din ka raat ki marzi se kijiye
lagta hai achchha waqt pe apne har ek kaam
taKHir jitni karni hai jaldi se kijiye
lahron ka jhagDa jaega donon kinaron tak
dariya ki sari baaten na kashti se kijiye
deti hai kyun sabhi ko kisi ek ki saza
kuchh to muzakaraat is aandhi se kijiye
karna hai sab ko Thik mohabbat ki mar ne
sab ka ilaj us hi dawai se kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.