Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karo kuchh aur qayamat ka intizar abhi

Baqar Naqvi

karo kuchh aur qayamat ka intizar abhi

Baqar Naqvi

MORE BYBaqar Naqvi

    karo kuchh aur qayāmat intizār abhī

    mirī zamīn ujḌā nahīñ siñghār abhī

    'atā kiye haiñ bahut bebasī ke dastāne

    umiid kitnī lagā.e haiñ shahryār abhī

    zamīñ agarche na.e qaht lapeT meñ hai

    rukā nahīñ hai magar dast-e-kirdgār abhī

    chalo du'ā ke charāġhoñ lau baḌhāte chaleñ

    mileñge aur bhī dasht-e-siyāhkār abhī

    abhī se kaise shab-e-hijr sazā de deñ

    ki us god meñ hai shaam bahār abhī

    qabā pe rang paḌā hai to itnī vahshat kyā

    libās-e-jild bhī honā hai tār-tār abhī

    ġharīb aañkh putlī himmatoñ ke nisār

    huā nahīñ hai añdheroñ pe inhisār abhī

    koī sune na sune sunā.e 'bāqar'

    tire sitār meñ baaqī hai ek taar abhī

    karo kuchh aur qayamat ka intizar abhi

    meri zamin ka ujDa nahin singhaar abhi

    'ata kiye hain bahut bebasi ke dastane

    umid kitni lagae hain shahryar abhi

    zamin agarche nae qaht ki lapeT mein hai

    ruka nahin hai magar dast-e-kirdgar abhi

    chalo du'a ke charaghon ki lau baDhate chalen

    milenge aur bhi dasht-e-siyahkar abhi

    abhi se kaise shab-e-hijr ki saza de den

    ki us ki god mein hai sham ki bahaar abhi

    qaba pe rang paDa hai to itni wahshat kya

    libas-e-jild bhi hona hai tar-tar abhi

    gharib aankh ki putli ki himmaton ke nisar

    hua nahin hai andheron pe inhisar abhi

    koi sune na sune tu sunae ja 'baqar'

    tere sitar mein baqi hai ek tar abhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now