karta hai kaun dur jo ho jae kuchh junun
kartā hai kaun duur jo ho jaa.e kuchh junūñ
biktā hai kis dukān pe āḳhir dilī sukūñ
aa jaa.e sāmne to nikālūñ ġhubār bhī
uljhūñ to fāsle se bhalā kyā maiñ kah sakūñ
mil jaa.e ik ḳhayāl kī mohlat zarā mujhe
is kā.enāt-e-vaqt ke baḳhiye udheḌ duuñ
haiñ kis qadar hasīn uḌāneñ parind kī
mujh ko bhī pankh mil sakeñ maiñ bhī to kuchh uḌuuñ
rasta bujhā huā hai havāoñ ke zahr meñ
to 'shāh' kyā zarūr ki maiñ ḳhud-kushī karūñ
karta hai kaun dur jo ho jae kuchh junun
bikta hai kis dukan pe aaKHir dili sukun
aa jae samne to nikalun ghubar bhi
uljhun to fasle se bhala kya main kah sakun
mil jae ek KHayal ki mohlat zara mujhe
is kaenat-e-waqt ke baKHiye udheD dun
hain kis qadar hasin uDanen parind ki
mujh ko bhi pankh mil saken main bhi to kuchh uDun
rasta bujha hua hai hawaon ke zahr mein
to 'shah' kya zarur ki main KHud-kushi karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.