karta na kabhi wa lab-e-izhaar-e-tamanna
kartā na kabhī vā lab-e-iz.hār-e-tamanna
hotā maiñ agar vāqif-e-asrār-e-tamanna
ik jast meñ thī vus'at-e-kaunain ke us paar
allāh re ye garmī-e-raftār-e-tamanna
har aan hai ik naġhmagī-e-shauq kī jhankār
kyā zamzama-parvāz hai har tār-e-tamanna
nāmūs-e-tamanna kā bharam hai to usī se
kartā hī nahīñ jo kabhī iz.hār-e-tamannā
aatī hī nahīñ raah nazar us se mafar kī
har samt hai vo halqa-e-dīvār-e-tamanna
har shaḳhs ko saudā hai isī jins-e-girāñ kā
har shaḳhs hai duniyā meñ parastār-e-tamanna
ik hashr sā barpā hai mire dil meñ 'jalīs' aaj
TuuTī hai yaqīnan koī dīvār-e-tamannā
karta na kabhi wa lab-e-izhaar-e-tamanna
hota main agar waqif-e-asrar-e-tamanna
ek jast mein thi wus'at-e-kaunain ke us par
allah re ye garmi-e-raftar-e-tamanna
har aan hai ek naghmagi-e-shauq ki jhankar
kya zamzama-parwaz hai har tar-e-tamanna
namus-e-tamanna ka bharam hai to usi se
karta hi nahin jo kabhi izhaar-e-tamanna
aati hi nahin rah nazar us se mafar ki
har samt hai wo halqa-e-diwar-e-tamanna
har shaKHs ko sauda hai isi jins-e-giran ka
har shaKHs hai duniya mein parastar-e-tamanna
ek hashr sa barpa hai mere dil mein 'jalis' aaj
TuTi hai yaqinan koi diwar-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.