karte hain apne baal dikha mubtala mujhe
karte haiñ apne baal dikhā mubtalā mujhe
is peñch se butāñ ke nikāle ḳhudā mujhe
dil ne mire jo dī hai baḌhā TūTne kī qadr
kartī hai bāl-bāl se chīnī duā mujhe
jaur-o-jafā meñ yaar bahut ho gayā diler
karte to kī pa raas na aa.ī vafā mujhe
maiñ ḳhaak to huā pa merī aabrū rahī
karte the diida ḳhvār judā dil judā mujhe
maiñ gir rahā huuñ yaar ke qadmoñ upar 'yaqīñ'
aa.ī hai raas sāya-e-gul kī havā mujhe
karte hain apne baal dikha mubtala mujhe
is pench se butan ke nikale KHuda mujhe
dil ne mere jo di hai baDha TuTne ki qadr
karti hai baal-baal se chini dua mujhe
jaur-o-jafa mein yar bahut ho gaya diler
karte to ki pa ras na aai wafa mujhe
main KHak to hua pa meri aabru rahi
karte the dida KHwar juda dil juda mujhe
main gir raha hun yar ke qadmon upar 'yaqin'
aai hai ras saya-e-gul ki hawa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.