karte hain dil ke zaKHm tamashai se gurez
karte haiñ dil ke zaḳhm tamāshā.ī se gurez
ya.anī janāb aap kī rusvā.ī se gurez
ab sochne meñ vaqt ho barbād kis liye
tairāk haiñ to kyoñ kareñ gahrā.ī se gurez
ḳhud par vo agle vaqt meñ aañsū bahā.enge
vo log jin ko hai abhī sachchā.ī se gurez
ab dūsroñ kā zikr hī karnā fuzūl hai
aise meñ jab ki bhaa.ī kare bhaa.ī se gurez
kab tak lahūluhān manāzir ko dekhnā
jī chāhtā hai kījiye bīnā.ī se gurez
karte hain dil ke zaKHm tamashai se gurez
yani janab aap ki ruswai se gurez
ab sochne mein waqt ho barbaad kis liye
tairak hain to kyon karen gahrai se gurez
KHud par wo agle waqt mein aansu bahaenge
wo log jin ko hai abhi sachchai se gurez
ab dusron ka zikr hi karna fuzul hai
aise mein jab ki bhai kare bhai se gurez
kab tak lahuluhan manazir ko dekhna
ji chahta hai kijiye binai se gurez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.