karte hain etiraaz ki hum bolte nahin
karte haiñ e'tirāz ki ham bolte nahīñ
ham bolne lageñ to sanam bolte nahīñ
ḳhāmosh rahnā chāheñ to rahte haiñ der tak
jab bolne pe aa.eñ to kam bolte nahīñ
bachne kā sirf ek tarīqa hai ehtiyāt
choroñ ke chalte vaqt qadam bolte nahīñ
dil par kisī ke apnī samā.at ko rakh ke sun
kis ne kahā hai ye ki sitam bolte nahīñ
ashkoñ kā ruup le ke batāte haiñ dil kī baat
'ulfat' hamāre muñh se to ġham bolte nahīñ
karte hain e'tiraaz ki hum bolte nahin
hum bolne lagen to sanam bolte nahin
KHamosh rahna chahen to rahte hain der tak
jab bolne pe aaen to kam bolte nahin
bachne ka sirf ek tariqa hai ehtiyat
choron ke chalte waqt qadam bolte nahin
dil par kisi ke apni samaat ko rakh ke sun
kis ne kaha hai ye ki sitam bolte nahin
ashkon ka rup le ke batate hain dil ki baat
'ulfat' hamare munh se to gham bolte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.