karte nahin jafa bhi wo tark-e-wafa ke sath
karte nahin jafa bhi wo tark-e-wafa ke sath
Abdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
MORE BYAbdul Rahman Khan Wasfi Bahraichi
karte nahīñ jafā bhī vo tark-e-vafā ke saath
ye kaun sā sitam hai dil-e-mubtalā ke saath
ab vo jabīn-e-shauq kahīñ aur kyuuñ jhuke
vābasta ho ga.ī jo tire naqsh-e-pā ke saath
vārafta-e-jamāl kā aalam na pūchhiye
dīvāna-vār uThtī haiñ nazreñ sadā ke saath
surḳhī tumhāre haath kī kahtī hai saaf saaf
shāmil hai mere dil kā lahū bhī hinā ke saath
takmīl-e-ārzū kī ḳhushī aur ġham-e-hayāt
donoñ hī ibtidā se rahe intihā ke saath
shāmil mirī hayāt meñ yuuñ hai ġham-e-hayāt
jaise ḳhabar ho apne kisī mubtadā ke saath
'vasfī' mirī hayāt ne manzil ko pā liyā
kuchh din guzār aayā jo ik pārsā ke saath
karte nahin jafa bhi wo tark-e-wafa ke sath
ye kaun sa sitam hai dil-e-mubtala ke sath
ab wo jabin-e-shauq kahin aur kyun jhuke
wabasta ho gai jo tere naqsh-e-pa ke sath
warafta-e-jamal ka aalam na puchhiye
diwana-war uThti hain nazren sada ke sath
surKHi tumhaare hath ki kahti hai saf saf
shamil hai mere dil ka lahu bhi hina ke sath
takmil-e-arzu ki KHushi aur gham-e-hayat
donon hi ibtida se rahe intiha ke sath
shamil meri hayat mein yun hai gham-e-hayat
jaise KHabar ho apne kisi mubtada ke sath
'wasfi' meri hayat ne manzil ko pa liya
kuchh din guzar aaya jo ek parsa ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.