karti hai barbaad jab jab meri makkari mujhe
kartī hai barbād jab jab merī makkārī mujhe
phir bachā letī hai bas us kī nigah-kārī mujhe
vo jo kahtā thā zabāñ meñ shahd honā chāhiye
khaa.e jaatī hai usī kī talḳh guftārī mujhe
maiñ bhī mālik huuñ shab-e-hijrāñ kī kaalī raat kā
chain se sone na detī hai ye zardārī mujhe
jab talak thā ham-safar vo zindagī āsān thī
ho rahī hai raah meñ ab kitnī dushvārī mujhe
ho gayā thā maiñ bhī 'āshiq us ke jaisā 'ishq meñ
is liye karnī paḌī us kī taraf-dārī mujhe
dekh kar us kī adā.eñ ho gayā maiñ bhī asiir
yaad hai phir aaj tak us kī adākārī mujhe
mujh pe ab haavī nahīñ hotā koī dast-e-junūñ
aa ga.ī 'shamshād' jab se hai samajhdārī mujhe
karti hai barbaad jab jab meri makkari mujhe
phir bacha leti hai bas us ki nigah-kari mujhe
wo jo kahta tha zaban mein shahd hona chahiye
khae jati hai usi ki talKH guftari mujhe
main bhi malik hun shab-e-hijran ki kali raat ka
chain se sone na deti hai ye zardari mujhe
jab talak tha ham-safar wo zindagi aasan thi
ho rahi hai rah mein ab kitni dushwari mujhe
ho gaya tha main bhi 'ashiq us ke jaisa 'ishq mein
is liye karni paDi us ki taraf-dari mujhe
dekh kar us ki adaen ho gaya main bhi asir
yaad hai phir aaj tak us ki adakari mujhe
mujh pe ab hawi nahin hota koi dast-e-junun
aa gai 'shamshad' jab se hai samajhdari mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.