karti hai kaise dil pe asar dekhni paDi
karti hai kaise dil pe asar dekhni paDi
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
kartī hai kaise dil pe asar dekhnī paḌī
mahfil meñ gul-ruḳhoñ kī nazar dekhnī paḌī
un ke tufail shaam ko sūrat raqīb kī
jī chāhtā nahīñ thā magar dekhnī paḌī
ahvāl dil pe jabr kā un se bhī pūchhiye
furqat ke baa'd jin ko sahar dekhnī paḌī
ab kyā kaheñ ki kitnī pareshāniyoñ ke baa'd
ik zulf thī jo tā-ba-kamar dekhnī paḌī
'zaidī' ye inqilāb hamārā nasīb thā
badlī huī kisī kī nazar dekhnī paḌī
karti hai kaise dil pe asar dekhni paDi
mahfil mein gul-ruKHon ki nazar dekhni paDi
un ke tufail sham ko surat raqib ki
ji chahta nahin tha magar dekhni paDi
ahwal dil pe jabr ka un se bhi puchhiye
furqat ke ba'd jin ko sahar dekhni paDi
ab kya kahen ki kitni pareshaniyon ke ba'd
ek zulf thi jo ta-ba-kamar dekhni paDi
'zaidi' ye inqilab hamara nasib tha
badli hui kisi ki nazar dekhni paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.