karti hi nahin dil se kabhi naql-e-makani
kartī hī nahīñ dil se kabhī naql-e-makānī
chipkī hai mirī yaad se titlī sī kahānī
ik ahd-e-mohabbat kī fazā jhāñk rahī hai
dekho to zarā ġhaur se tasvīr purānī
ik ās-darīche meñ mire ḳhvāb paḌe haiñ
khultī hai jahāñ raat ga.e raat kī raanī
niklī ho jo taqlīd-e-mohabbat ke safar par
kyā yaad nahīñ tum ko vo dariyā kī ravānī
chup-chāp kisī yaad meñ khoī huī āñkheñ
aur āñkhoñ meñ Thahrā huā be-tāb sā paanī
hotī huuñ 'sadaf' jab bhī udāsī kī fazā meñ
dhīre se thapak detī hai ik yaad suhānī
karti hi nahin dil se kabhi naql-e-makani
chipki hai meri yaad se titli si kahani
ek ahd-e-mohabbat ki faza jhank rahi hai
dekho to zara ghaur se taswir purani
ek aas-dariche mein mere KHwab paDe hain
khulti hai jahan raat gae raat ki rani
nikli ho jo taqlid-e-mohabbat ke safar par
kya yaad nahin tum ko wo dariya ki rawani
chup-chap kisi yaad mein khoi hui aankhen
aur aankhon mein Thahra hua be-tab sa pani
hoti hun 'sadaf' jab bhi udasi ki faza mein
dhire se thapak deti hai ek yaad suhani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.