karun bayan agar uski bewafai ka
karūñ bayān agar us kī bevafā.ī kā
zabāñ se naam na le koī āshnā.ī kā
na ishva-sāzī na ġhamze na naaz phūloñ meñ
hai saada husn meñ andāz dilrubā.ī kā
badan se jaan nikaltī hai ye ḳhabar de kar
kabhī hai vasl kā mausam kabhī judā.ī kā
huā halāk jo hābīl to kiyā kis ne
shurūa-e-dahr se qātil hai bhaa.ī bhaa.ī kā
habāb sat.h pe aate hī phuuT jaate haiñ
jigar-ḳharāsh hai anjām ḳhud-numā.ī kā
jahāñ meñ koī kisī kī ḳhabar nahīñ letā
sunā.ūñ haal kise apnī be-navā.ī kā
dikhā ke aa.ina kah do ki maiñ muqābil bhī
butoñ ke muñh se ho da.avā agar ḳhudā.ī kā
karun bayan agar us ki bewafai ka
zaban se nam na le koi aashnai ka
na ishwa-sazi na ghamze na naz phulon mein
hai sada husn mein andaz dilrubai ka
badan se jaan nikalti hai ye KHabar de kar
kabhi hai wasl ka mausam kabhi judai ka
hua halak jo habil to kiya kis ne
shurua-e-dahr se qatil hai bhai bhai ka
habab sath pe aate hi phuT jate hain
jigar-KHarash hai anjam KHud-numai ka
jahan mein koi kisi ki KHabar nahin leta
sunaun haal kise apni be-nawai ka
dikha ke aaina kah do ki main muqabil bhi
buton ke munh se ho dawa agar KHudai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.