karun hun raat din phere kai phere miyan sahib
karun hun raat din phere kai phere miyan sahib
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
karūñ huuñ raat din phere ka.ī phere miyāñ sāhib
kabhī to bhī na paayā tum ko ham Dere miyāñ sāhib
uThāveñ kyuuñ na naktoḌe ki ham chākar haiñ ulfat ke
vagarna tum se aalam meñ haiñ bahtere miyāñ sāhib
jahāñ ke ḳhūbsūrat ham bahut tāḌeñ haiñ nazroñ meñ
tū sab kā sab tarah sāhib hai ai mere miyāñ sāhib
yahī hotī hai āshiq-parvarī kī shart hai zālim
ki ham marte haiñ tum jaate ho muñh phere miyāñ sāhib
burā karte ho jo ghar se nikal jaate ho 'hātim' ke
nashe meñ mast ujiyāle o añdhere miyāñ sāhib
karun hun raat din phere kai phere miyan sahib
kabhi to bhi na paya tum ko hum Dere miyan sahib
uThawen kyun na naktoDe ki hum chaakar hain ulfat ke
wagarna tum se aalam mein hain bahtere miyan sahib
jahan ke KHubsurat hum bahut taDen hain nazron mein
tu sab ka sab tarah sahib hai ai mere miyan sahib
yahi hoti hai aashiq-parwari ki shart hai zalim
ki hum marte hain tum jate ho munh phere miyan sahib
bura karte ho jo ghar se nikal jate ho 'hatim' ke
nashe mein mast ujiyale o andhere miyan sahib
- Book : Diwan Zadah (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.