karun jo koshish to tujh diye ko jala hi lunga
karūñ jo koshish to tujh diye ko jalā hī lūñgā
mujhe yaqīñ hai maiñ tujh ko apnā banā hī lūñgā
jahāñ zamāne kī talḳhiyoñ ko maiñ jheltā huuñ
vahāñ maiñ tere bhī chaar naḳhre uThā hī lūñgā
ye merī apnī hī Dhiil hai yā ḳhafā hai tū bhī
maiñ jab manāne pe aa gayā to manā hī lūñgā
maiñ māntā huuñ ki maiñ musavvir nahīñ huuñ koī
tumhārī āñkheñ to yaar lekin banā hī lūñgā
mire kiye par tamām gaañv ke log ḳhush the
mujhe yaqīñ hai maiñ sab gharoñ se duā hī lūñgā
charāġh saare ke saare be-shak na bach sake par
maiñ apne hisse kā ik diyā to bachā hī lūñgā
mujhe biThāne kī tujh ko koī na fikr hogī
maiñ aa gayā huuñ to phir jagah bhī banā hī lūñgā
karun jo koshish to tujh diye ko jala hi lunga
mujhe yaqin hai main tujh ko apna bana hi lunga
jahan zamane ki talKHiyon ko main jhelta hun
wahan main tere bhi chaar naKHre uTha hi lunga
ye meri apni hi Dhil hai ya KHafa hai tu bhi
main jab manane pe aa gaya to mana hi lunga
main manta hun ki main musawwir nahin hun koi
tumhaari aankhen to yar lekin bana hi lunga
mere kiye par tamam ganw ke log KHush the
mujhe yaqin hai main sab gharon se dua hi lunga
charagh sare ke sare be-shak na bach sake par
main apne hisse ka ek diya to bacha hi lunga
mujhe biThane ki tujh ko koi na fikr hogi
main aa gaya hun to phir jagah bhi bana hi lunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.