karun jo tanqid zulmaton par
karūñ jo tanqīd zulmatoñ par
to aa.egā harf hikmatoñ par
futūr-e-millat junūn-e-maz.hab
ye raqs karte haiñ vahshatoñ par
shu.ūr-e-insān pal rahā hai
ḳhudā kī bastī meñ nafratoñ par
ye sāzishoñ ke muhīb saa.e
haiñ chhā.e sadiyoñ se ulfatoñ par
ye raqs kaisā hai jān-o-tan meñ
huuñ mahv-e-hairat mohabbatoñ par
mahak uThī haiñ fazā.eñ saarī
hai kaisī barsāt parbatoñ par
'shafaq' bahāyā na ik bhī aañsū
diloñ pe TuuTī qayāmatoñ par
karun jo tanqid zulmaton par
to aaega harf hikmaton par
futur-e-millat junun-e-mazhab
ye raqs karte hain wahshaton par
shuur-e-insan pal raha hai
KHuda ki basti mein nafraton par
ye sazishon ke muhib sae
hain chhae sadiyon se ulfaton par
ye raqs kaisa hai jaan-o-tan mein
hun mahw-e-hairat mohabbaton par
mahak uThi hain fazaen sari
hai kaisi barsat parbaton par
'shafaq' bahaya na ek bhi aansu
dilon pe TuTi qayamaton par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.