Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karun kis se fariyaad kya ho gaya

Sayad Humayun Mirza Haqeer

karun kis se fariyaad kya ho gaya

Sayad Humayun Mirza Haqeer

MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer

    karūñ kis se fariyād kyā ho gayā

    mirā yaar mujh se judā ho gayā

    kareñ kyā ki dil haath se chukā

    jo honā muqaddar meñ thā ho gayā

    marā jo ġham-e-hijr meñ vo jiyā

    ki zindān-e-ġham se rihā ho gayā

    mire sāmne ġhair se iḳhtilāt

    muravvat bas ḳhātma ho gayā

    kahūñ ishq-e-parvāna kyā sham.a se

    vo raushan rahī ḳhud fanā ho gayā

    'haqīr' aage piitā thā mai ḳhum ke ḳhum

    maiñ suntā huuñ ab pārsā ho gayā

    karun kis se fariyaad kya ho gaya

    mera yar mujh se juda ho gaya

    karen kya ki dil hath se ja chuka

    jo hona muqaddar mein tha ho gaya

    mara jo gham-e-hijr mein wo jiya

    ki zindan-e-gham se riha ho gaya

    mere samne ghair se iKHtilat

    murawwat ka bas KHatma ho gaya

    kahun ishq-e-parwana kya shama se

    wo raushan rahi KHud fana ho gaya

    'haqir' aage pita tha mai KHum ke KHum

    main sunta hun ab parsa ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now