karun kyon na aah-o-nala ki mujhe to kal na aae
karūñ kyoñ na āh-o-nāla ki mujhe to kal na aa.e
tire ḳhvāb-e-nāz meñ bhī shab-e-ġham ḳhalal na aa.e
rahe bekasī salāmat mujhe kyā kisī kī hājat
shab-e-va.ada tum na aao shab-e-ġham ajal na aa.e
vo hamārī aarzū thī ye ḳhushī thī apne jī kī
ki azā meñ aaj aa.e dam-e-naz.a kal na aa.e
asar-e-fuġhāñ to jab hai vo kahe ki ab tū dam le
kahīñ siina phaT na jaa.e kahīñ dil nikal na aa.e
phale phūle 'yās' lākhoñ shajar-e-ḳhizāñ-rasīda
mire naḳhl-e-ārzū meñ kabhī phuul phal na aa.e
karun kyon na aah-o-nala ki mujhe to kal na aae
tere KHwab-e-naz mein bhi shab-e-gham KHalal na aae
rahe bekasi salamat mujhe kya kisi ki hajat
shab-e-wada tum na aao shab-e-gham ajal na aae
wo hamari aarzu thi ye KHushi thi apne ji ki
ki aza mein aaj aae dam-e-naza kal na aae
asar-e-fughan to jab hai wo kahe ki ab tu dam le
kahin sina phaT na jae kahin dil nikal na aae
phale phule 'yas' lakhon shajar-e-KHizan-rasida
mere naKHl-e-arzu mein kabhi phul phal na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.