karun main jaan-o-jigar ab nisar mushkil hai
karūñ maiñ jān-o-jigar ab nisār mushkil hai
ho tum pe phir se mujhe e'tibār mushkil hai
yahāñ kī miTTī meñ shāmil hai ḳhuun merā bhī
mirī zamīñ pe tirā eqtidār mushkil hai
nahīñ hai ḳhair kisī kī tirī hukūmat meñ
ḳhizāñ ke rahte hī aa.e bahār mushkil hai
tumhāre sāmne ab sar nigūñ raheñge ham
hoñ dushmanoñ se qaul-o-qarār mushkil hai
tujhe rafīq samajh kar ziyāñ ko zahmat dī
banā.ūñ ab maiñ tujhe rāzdār mushkil hai
fasādī mulk pe qabza jamā.e baiThe haiñ
nizām-e-mulk ho yuuñ sāzgār mushkil hai
maiñ muddatoñ se huuñ tālib huqūq kā apne
ho mujh se aur bhī ab intizār mushkil hai
tire tamām mazālim ayaañ haiñ har ik par
tū ab kī baar bane tājdār mushkil hai
lahū se ham ne vatan kī zamīñ ko sīñchā hai
mile ab aisā koī jāñ-nisār mushkil hai
tujhe to logoñ ne sahvan banā diyā hākim
kareñ vo ik hī ḳhatā baar baar mushkil hai
har ek shaḳhs muḳhālif hai zulm kā 'hādī'
ye ittihād ho ab taar taar mushkil hai
karun main jaan-o-jigar ab nisar mushkil hai
ho tum pe phir se mujhe e'tibar mushkil hai
yahan ki miTTi mein shamil hai KHun mera bhi
meri zamin pe tera eqtidar mushkil hai
nahin hai KHair kisi ki teri hukumat mein
KHizan ke rahte hi aae bahaar mushkil hai
tumhaare samne ab sar nigun rahenge hum
hon dushmanon se qaul-o-qarar mushkil hai
tujhe rafiq samajh kar ziyan ko zahmat di
banaun ab main tujhe raazdar mushkil hai
fasadi mulk pe qabza jamae baiThe hain
nizam-e-mulk ho yun sazgar mushkil hai
main muddaton se hun talib huquq ka apne
ho mujh se aur bhi ab intizar mushkil hai
tere tamam mazalim ayan hain har ek par
tu ab ki bar bane tajdar mushkil hai
lahu se hum ne watan ki zamin ko sincha hai
mile ab aisa koi jaan-nisar mushkil hai
tujhe to logon ne sahwan bana diya hakim
karen wo ek hi KHata bar bar mushkil hai
har ek shaKHs muKHalif hai zulm ka 'hadi'
ye ittihad ho ab tar tar mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.