karwaTen lene do farsh-e-KHak par naKHchir ko
karwaTen lene do farsh-e-KHak par naKHchir ko
Sher Singh Naaz Dehlvi
MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi
karvaTeñ lene do farsh-e-ḳhāk par naḳhchīr ko
be-dhaḌak ho kar nikālo tum jigar se tiir ko
vasl kī lazzat uThāne dījiye naḳhchīr ko
tiir se dil ko na dil se duur kiije tiir ko
ye hamārā hai jigar ye hai hamārā hausla
ḳhūn-e-dil se pālte haiñ ham tumhāre tiir ko
jalva-farmā dil meñ tum bhī ho tumhārī yaad bhī
dekh lo pahle kaleja phir lagānā tiir ko
ho gayā nāvak ḳhatā hai sharm se nīchī nazar
laao ham rakh leñ kaleje meñ tumhāre tiir ko
aa ke lipTā hai mire siine se kis ulfat ke saath
tum se baḌh kar bā-vafā paayā tumhāre tiir ko
chuum kar aaya hai ye dast-e-hinā.ī aap kā
kyoñ na rakkhūñ maiñ kaleje se lagā kar tiir ko
zindagī bhar ko ḳhalish kā lutf paidā kar diyā
tum hī bolo kyā du'ā.eñ duuñ tumhāre tiir ko
surḳh ho jaa.eñ na fart-e-nāzukī se uñgliyāñ
kyoñ nikālo dil se tum rahne do dil meñ tiir ko
kyā 'ajab ghul-mil gayā ho hasrat-o-armāñ ke saath
DhūñD lo tum ḳhud hī aa kar dil meñ apne tiir ko
dil ko taakā hai to behtar hai magar apnī tarah
chuTkiyāñ lene kī 'ādat to sikhā do tiir ko
dil to dil pahlū bhī chedā chhed kar merā jigar
kyoñ na paiġhām-e-ajal samjhūñ tumhāre tiir ko
karwaTen lene do farsh-e-KHak par naKHchir ko
be-dhaDak ho kar nikalo tum jigar se tir ko
wasl ki lazzat uThane dijiye naKHchir ko
tir se dil ko na dil se dur kije tir ko
ye hamara hai jigar ye hai hamara hausla
KHun-e-dil se palte hain hum tumhaare tir ko
jalwa-farma dil mein tum bhi ho tumhaari yaad bhi
dekh lo pahle kaleja phir lagana tir ko
ho gaya nawak KHata hai sharm se nichi nazar
lao hum rakh len kaleje mein tumhaare tir ko
aa ke lipTa hai mere sine se kis ulfat ke sath
tum se baDh kar ba-wafa paya tumhaare tir ko
chum kar aaya hai ye dast-e-hinai aap ka
kyon na rakkhun main kaleje se laga kar tir ko
zindagi bhar ko KHalish ka lutf paida kar diya
tum hi bolo kya du'aen dun tumhaare tir ko
surKH ho jaen na fart-e-nazuki se ungliyan
kyon nikalo dil se tum rahne do dil mein tir ko
kya 'ajab ghul-mil gaya ho hasrat-o-arman ke sath
DhunD lo tum KHud hi aa kar dil mein apne tir ko
dil ko taka hai to behtar hai magar apni tarah
chuTkiyan lene ki 'adat to sikha do tir ko
dil to dil pahlu bhi cheda chhed kar mera jigar
kyon na paigham-e-ajal samjhun tumhaare tir ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.