kash lagate guman dekhte hain
kash lagāte gumān dekhte haiñ
band āñkhoñ jahān dekhte haiñ
ab thakan hai na ġham javānī kā
apnā beTā javān dekhte haiñ
dasht meñ raat chhoḌne vaale
terī ḳhālī machān dekhte haiñ
qurbateñ ġham ko sauñp detī haiñ
duur baiThe jahān dekhte haiñ
husn itnā sukhī nahīñ hotā
jo bhī karte ho daan dekhte haiñ
dil haiñ sab ke bhare bhare 'sābir'
log ḳhālī makān dekhte haiñ
kash lagate guman dekhte hain
band aankhon jahan dekhte hain
ab thakan hai na gham jawani ka
apna beTa jawan dekhte hain
dasht mein raat chhoDne wale
teri KHali machan dekhte hain
qurbaten gham ko saunp deti hain
dur baiThe jahan dekhte hain
husn itna sukhi nahin hota
jo bhi karte ho dan dekhte hain
dil hain sab ke bhare bhare 'sabir'
log KHali makan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.