kashakash se hasti ki daman chhuDaen
kashakash se hasti ki daman chhuDaen
Mohammad Ishaq Afsar Afaqi
MORE BYMohammad Ishaq Afsar Afaqi
kashākash se hastī kī dāman chhuḌā.eñ
chalo nā ajal hī se rishta juḌā.eñ
vo naġhma mirā merī lai meñ sunā.eñ
javānī ko pur-kaif-o-rangīñ banā.eñ
ḳhudārā ye āñkheñ na aañsū bahā.eñ
kisī kī nazar se na mujh ko girā.eñ
safīna Dubonā hai maujoñ kī fitrat
to kyā nāḳhudā kyā muāfiq havā.eñ
tū ḳhuddār ban jā ai shauq-e-nazāra
vo ḳhud baam par aa.eñ tujh ko bulā.eñ
chalo nā kahīñ duur duniyā se chal kar
alag apnī duniyā-e-ulfat banā.eñ
ḳhizāñ-āshnā huuñ maiñ 'afsar' mujhe kyā
bahāreñ gulistāñ meñ aatī haiñ aa.eñ
zamāne kī chāleñ samajhte haiñ 'afsar'
ab aise nahīñ ham ki dhoke meñ aa.eñ
kashakash se hasti ki daman chhuDaen
chalo na ajal hi se rishta juDaen
wo naghma mera meri lai mein sunaen
jawani ko pur-kaif-o-rangin banaen
KHudara ye aankhen na aansu bahaen
kisi ki nazar se na mujh ko giraen
safina Dubona hai maujon ki fitrat
to kya naKHuda kya muafiq hawaen
tu KHuddar ban ja ai shauq-e-nazara
wo KHud baam par aaen tujh ko bulaen
chalo na kahin dur duniya se chal kar
alag apni duniya-e-ulfat banaen
KHizan-ashna hun main 'afsar' mujhe kya
bahaaren gulistan mein aati hain aaen
zamane ki chaalen samajhte hain 'afsar'
ab aise nahin hum ki dhoke mein aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.