kashakashi ko jo tayyar bhi nahin rahte
kashākashī ko jo tayyār bhī nahīñ rahte
jahāñ meñ aisoñ ke āsār bhī nahīñ rahte
vo ḳhush hai jis ko kushāda-dilī mayassar hai
ki tang rāste hamvār bhī nahīñ rahte
zamīñ se kaT ke falak har kisī kā hotā gayā
bichhaḌne vāloñ ke me'yār bhī nahīñ rahte
jo kaam pahle-pahal mumkināt meñ bhī na hoñ
samay ke saath vo dushvār bhī nahīñ rahte
ziyāda duur 'adū bhī nahīñ hue mujh se
bahut qarīb mire yaar bhī nahīñ rahte
jahāñ pe apne hī rahne na deñ vahāñ 'hāris'
ba-vaj.h-e-tā’na-e-aġhyār bhī nahīñ rahte
kashakashi ko jo tayyar bhi nahin rahte
jahan mein aison ke aasar bhi nahin rahte
wo KHush hai jis ko kushada-dili mayassar hai
ki tang raste hamwar bhi nahin rahte
zamin se kaT ke falak har kisi ka hota gaya
bichhaDne walon ke me'yar bhi nahin rahte
jo kaam pahle-pahal mumkinat mein bhi na hon
samay ke sath wo dushwar bhi nahin rahte
ziyaada dur 'adu bhi nahin hue mujh se
bahut qarib mere yar bhi nahin rahte
jahan pe apne hi rahne na den wahan 'haaris'
ba-wajh-e-ta’na-e-aghyar bhi nahin rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.