kashkol-e-gadai tha ki rahmat ka subu tha
kashkol-e-gadā.ī thā ki rahmat kā subū thā
dil dil hai hamārī to in āñkhoñ meñ lahū thā
nam honā to āñkhoñ kā bahar-hāl thā 'uqda
ashkoñ ke tarannum se kiyā ham ne vuzū thā
tujh se hī umīdeñ thiiñ juḌīñ dil kī ki āḳhir
mehmāñ the sabhī is ke makīñ ek hī tū thā
kab tan ko mire tū ne kiyā dard se ḳhālī
kab zaḳhm-e-jigar merā kiyā tū ne rafū thā
jo bichhḌā hai ham se to nahīñ ham ko ḳhabar hai
vo dost thā apnā thā parāyā thā 'adū thā
kab chehre pe mere thā koī parda mirī jaañ
jo dil kā tasavvur hai vo āñkhoñ se numū thā
ab duur huā us se to dil kahtā hai ‘kāvish’
vo rang thā raunaq thā koī gul thā ki bū thā
kashkol-e-gadai tha ki rahmat ka subu tha
dil dil hai hamari to in aankhon mein lahu tha
nam hona to aankhon ka bahar-haal tha 'uqda
ashkon ke tarannum se kiya hum ne wuzu tha
tujh se hi umiden thin juDin dil ki ki aaKHir
mehman the sabhi is ke makin ek hi tu tha
kab tan ko mere tu ne kiya dard se KHali
kab zaKHm-e-jigar mera kiya tu ne rafu tha
jo bichhDa hai hum se to nahin hum ko KHabar hai
wo dost tha apna tha paraya tha 'adu tha
kab chehre pe mere tha koi parda meri jaan
jo dil ka tasawwur hai wo aankhon se numu tha
ab dur hua us se to dil kahta hai ‘kawish’
wo rang tha raunaq tha koi gul tha ki bu tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.