kashkol-e-jaan se sikka-e-nafrat nikal kar
kashkol-e-jāñ se sikka-e-nafrat nikāl kar
ai dost phir se aa ke marāsim bahāl kar
chāhā thā umr-bhar tujhe pal meñ bhulā diyā
tū ne hī to kahā thā ki koī kamāl kar
ye dard kā safar hai bahut duur jā.egā
umr-e-ravāñ abhī se na mujh ko niDhāl kar
duniyā ko kyā ḳhabar ki guzartī hai ham pe kyā
likhte haiñ sher apne lahū ko ubaal kar
is shahr kā to hai yahī dastūr-e-zindagī
bas ḳhāmushī se dekh na koī savāl kar
maanā ki shā.erī hai asāsa tirā 'amīn'
ghar kī zarūriyāt kā kuchh to ḳhayāl kar
kashkol-e-jaan se sikka-e-nafrat nikal kar
ai dost phir se aa ke marasim bahaal kar
chaha tha umr-bhar tujhe pal mein bhula diya
tu ne hi to kaha tha ki koi kamal kar
ye dard ka safar hai bahut dur jaega
umr-e-rawan abhi se na mujh ko niDhaal kar
duniya ko kya KHabar ki guzarti hai hum pe kya
likhte hain sher apne lahu ko ubaal kar
is shahr ka to hai yahi dastur-e-zindagi
bas KHamushi se dekh na koi sawal kar
mana ki shaeri hai asasa tera 'amin'
ghar ki zaruriyat ka kuchh to KHayal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.