kashmakash achchhi hai lekin kashmakash paiham na ho
kashmakash achchhi hai lekin kashmakash paiham na ho
Mohan Singh Deewana
MORE BYMohan Singh Deewana
kashmakash achchhī hai lekin kashmakash paiham na ho
ne.amat-e-uzmā sukūñ hai gar sukūñ be-dam na ho
aadmī ke vāste be-kaif ho jaa.e jahāñ
zindagī ke shādiyāne maut kā mātam na ho
haiñ yaqīn-o-be-yaqīnī ke judāgāna maze
qalb meñ un kī bashārat ho magar bāham na ho
terī shaḳhsiyyat hai lā-fānī use rakh barqarār
zaat meñ mahbūb aur murshid kī bhī mudġham na ho
guzre haiñ din aaj tak ik shaan se ik tarz se
merī ḳhuddārī kā yā-rab sar-nigūñ parcham na ho
dastgīr insān kā insān agar hone lage
to amīrī aur muhtāj kā ye aalam na ho
chāhtā hai gar ki kaT jaa.e maze se zindagī
aadmī bātin meñ dāman-gīr-e-besh-o-kam na ho
kashmakash achchhi hai lekin kashmakash paiham na ho
neamat-e-uzma sukun hai gar sukun be-dam na ho
aadmi ke waste be-kaif ho jae jahan
zindagi ke shadiyane maut ka matam na ho
hain yaqin-o-be-yaqini ke judagana maze
qalb mein un ki bashaarat ho magar baham na ho
teri shaKHsiyyat hai la-fani use rakh barqarar
zat mein mahbub aur murshid ki bhi mudgham na ho
guzre hain din aaj tak ek shan se ek tarz se
meri KHuddari ka ya-rab sar-nigun parcham na ho
dastgir insan ka insan agar hone lage
to amiri aur muhtaj ka ye aalam na ho
chahta hai gar ki kaT jae maze se zindagi
aadmi baatin mein daman-gir-e-besh-o-kam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.