kashmakash mein yun mubtala hun main
kashmakash meñ yuuñ mubtalā huuñ maiñ
rū-ba-rū tum ho aa.ina huuñ maiñ
merī āñkhoñ meñ jo samā jaa.eñ
sirf vo ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
is se kah do sadā na de mujh ko
ab bahut duur aa gayā huuñ maiñ
dostoñ ko mire shikāyat hai
jhūTī bātoñ pe boltā huuñ maiñ
koshisheñ to bahut maiñ kartā huuñ
kyā karūñ aur kyā ḳhudā huuñ maiñ
tum mujhe kyuuñ nahīñ samajhte ho
ab to āsān ho gayā huuñ maiñ
dost aur dushmanoñ ke sabhī
tiir siine pe roktā huuñ maiñ
ek sach bolne kī aadat hai
vaise to aadmī bhalā huuñ maiñ
kashmakash mein yun mubtala hun main
ru-ba-ru tum ho aaina hun main
meri aankhon mein jo sama jaen
sirf wo KHwab dekhta hun main
is se kah do sada na de mujh ko
ab bahut dur aa gaya hun main
doston ko mere shikayat hai
jhuTi baaton pe bolta hun main
koshishen to bahut main karta hun
kya karun aur kya KHuda hun main
tum mujhe kyun nahin samajhte ho
ab to aasan ho gaya hun main
dost aur dushmanon ke sabhi
tir sine pe rokta hun main
ek sach bolne ki aadat hai
waise to aadmi bhala hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.