kashti bhi miraq uski hai patwar bhi suraj
kashtī bhī 'mirāq' us kī hai patvār bhī sūraj
ākār bhī sūraj hai nirākār bhī sūraj
jharnoñ meñ madhur giit ujāloñ kī nishānī
bādal kī uḌānoñ meñ chhupā saar bhī sūraj
bahte hue paanī meñ haiñ us ke hī nazāre
hai mausam-e-barsāt kā ādhār bhī sūraj
kuchh naav lagātā hai vahī roz kināre
kuchh ko jo nigaltā hai vo mañjdhār bhī sūraj
patthar se jo aa.ī thī kabhī us kī sadā thī
miTTī ke libāsoñ meñ chamatkār bhī sūraj
kashti bhi 'miraq' us ki hai patwar bhi suraj
aakar bhi suraj hai nirakar bhi suraj
jharnon mein madhur git ujalon ki nishani
baadal ki uDanon mein chhupa sar bhi suraj
bahte hue pani mein hain us ke hi nazare
hai mausam-e-barsat ka aadhaar bhi suraj
kuchh naw lagata hai wahi roz kinare
kuchh ko jo nigalta hai wo manjdhaar bhi suraj
patthar se jo aai thi kabhi us ki sada thi
miTTi ke libason mein chamatkar bhi suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.