kashti-e-dil ki na-KHudai kar
kashtī-e-dil kī nā-ḳhudā.ī kar
aa zarā mujh se āshnā.ī kar
rahzanoñ ke bhī dil badal jaa.eñ
is tarīqe se rahnumā.ī kar
nuur hai dekh tere andar bhī
māh-o-anjum se mat laḌā.ī kar
jism maanā ki saaf hai terā
ruuh kī bhī kabhī safā.ī kar
ḳhat jo likhnā ho jān-e-jānāñ ko
apne ashkoñ ko raushnā.ī kar
aaj alfāz se nahīñ 'parvāz'
aaj dil se ġhazal-sarā.ī kar
kashti-e-dil ki na-KHudai kar
aa zara mujh se aashnai kar
rahzanon ke bhi dil badal jaen
is tariqe se rahnumai kar
nur hai dekh tere andar bhi
mah-o-anjum se mat laDai kar
jism mana ki saf hai tera
ruh ki bhi kabhi safai kar
KHat jo likhna ho jaan-e-jaanan ko
apne ashkon ko raushnai kar
aaj alfaz se nahin 'parwaz'
aaj dil se ghazal-sarai kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.