kashti-e-ishq hai gharqab bhi ho sakti hai
kashtī-e-ishq hai ġharqāb bhī ho saktī hai
ḳhushk jo aañkh hai tālāb bhī ho saktī hai
ek muddat se hai pathrīlī mire dil kī zamīñ
tum qadam rakh do to punjab bhī ho saktī hai
uTh rahī hai ye jo āvāz dabī kuchlī sī
zid pe aa jaa.e to sailāb bhī ho saktī hai
chand TuuTe hue lafzoñ se sajī merī ġhazal
aap kī daad se nāyāb bhī ho saktī hai
terī be-nūr sī qismat kī lakīroñ ko 'qayām'
maañ agar chhū de to mahtāb bhī ho saktī hai
kashti-e-ishq hai gharqab bhi ho sakti hai
KHushk jo aankh hai talab bhi ho sakti hai
ek muddat se hai pathrili mere dil ki zamin
tum qadam rakh do to punjab bhi ho sakti hai
uTh rahi hai ye jo aawaz dabi kuchli si
zid pe aa jae to sailab bhi ho sakti hai
chand TuTe hue lafzon se saji meri ghazal
aap ki dad se nayab bhi ho sakti hai
teri be-nur si qismat ki lakiron ko 'qayam'
man agar chhu de to mahtab bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.