Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain

Rajesh Kumar Auj

kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain

Rajesh Kumar Auj

MORE BYRajesh Kumar Auj

    kashtī to bhañvar meñ hai lekin sāhil tamanna karte haiñ

    sahrā meñ bhaTakte phirte haiñ manzil tamanna karte haiñ

    vo jin meñ vafā naam nahīñ iḳhlās se haiñ jo begāna

    be-mehr vo kaise ham se bhalā phir dil tamanna karte haiñ

    dīvāne chale jaate haiñ tire apnī dhun meñ be-sudh ho kar

    jab hosh unheñ aatā hai kabhī manzil tamanna karte haiñ

    jo ishq-o-vafā meñ Duubā ho dukh-dard jo auroñ samjhe

    ham tujh se ḳhudāvandā aise ik dil tamanna karte haiñ

    ai 'auj' hamāre ishq meñ to kuchh laus nahīñ ḳhud-ġharzī

    haiñ apnī ġharaz ke bande jo hāsil tamanna karte haiñ

    kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain

    sahra mein bhaTakte phirte hain manzil ki tamanna karte hain

    wo jin mein wafa ka nam nahin iKHlas se hain jo begana

    be-mehr wo kaise hum se bhala phir dil ki tamanna karte hain

    diwane chale jate hain tere apni dhun mein be-sudh ho kar

    jab hosh unhen aata hai kabhi manzil ki tamanna karte hain

    jo ishq-o-wafa mein Duba ho dukh-dard jo auron ka samjhe

    hum tujh se KHudawanda aise ek dil ki tamanna karte hain

    ai 'auj' hamare ishq mein to kuchh laus nahin KHud-gharzi ka

    hain apni gharaz ke bande jo hasil ki tamanna karte hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now