kashtiyan kaghazon ki banane lage
kashtiyan kaghazon ki banane lage
Mohammad Hashmat Raza Sahil
MORE BYMohammad Hashmat Raza Sahil
kashtiyāñ kāġhazoñ kī banāne lage
biite manzar mujhe yaad aane lage
vo bahāne se ghar āne-jāne lage
chupke chupke mirā dil churāne lage
dopahar din meñ kyā raat ho jā.egī
ruḳh pe vo apnī zulfeñ girāne lage
band piñjḌe meñ dekhā jo tote ko kal
vo ġhulāmī ke din yaad aane lage
merī maañ kī duā.eñ pata ban ga.iiñ
raah meñ jab qadam laḌkhaḌāne lage
sher-goī kā da.avā hai 'sāhil' jinheñ
merī ġhazleñ mujhī ko sunāne lage
kashtiyan kaghazon ki banane lage
bite manzar mujhe yaad aane lage
wo bahane se ghar aane-jaane lage
chupke chupke mera dil churane lage
dopahar din mein kya raat ho jaegi
ruKH pe wo apni zulfen girane lage
band pinjDe mein dekha jo tote ko kal
wo ghulami ke din yaad aane lage
meri man ki duaen pata ban gain
rah mein jab qadam laDkhaDane lage
sher-goi ka dawa hai 'sahil' jinhen
meri ghazlen mujhi ko sunane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.