kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda koi nahin
kashtiyāñ mañjdhār meñ haiñ nāḳhudā koī nahīñ
apnī himmat ke alāva aasrā koī nahīñ
manziloñ kī justujū meñ aa ga.e us moḌ par
ab jahāñ se lauTne kā rāsta koī nahīñ
ham ne pūchhā ḳhud ke jaisā kyā kabhī dekhā kahīñ
muskurā kar us ne ham se kah diyā koī nahīñ
zindagī ke is safar meñ tajraba ham ko huā
saath sab haiñ par kabhī pahchāntā koī nahīñ
rafta rafta umr saarī kaT ga.ī apnī yahāñ
ham ko lekin shahr bhar meñ jāntā koī nahīñ
kashtiyan manjdhaar mein hain naKHuda koi nahin
apni himmat ke alawa aasra koi nahin
manzilon ki justuju mein aa gae us moD par
ab jahan se lauTne ka rasta koi nahin
hum ne puchha KHud ke jaisa kya kabhi dekha kahin
muskura kar us ne hum se kah diya koi nahin
zindagi ke is safar mein tajraba hum ko hua
sath sab hain par kabhi pahchanta koi nahin
rafta rafta umr sari kaT gai apni yahan
hum ko lekin shahr bhar mein jaanta koi nahin
- Book : Apna to mile koi (Pg. 65)
- Author : Devmani Pandey
- Publication : Amrit parkashan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.