kashtiyon ke khilkhilate baadbanon ki tarah
kashtiyoñ ke khilkhilāte bādbānoñ kī tarah
raat bhar ugte haiñ chehre gum ḳhazānoñ kī tarah
ho na hir-phir sair-e-gul ko jā rahī hai fāḳhta
phir havā chalne lagī hai naujavānoñ kī tarah
bārhā jo mujh se Takrātī hai merī guuñj hai
maiñ bhī ḳhush-ābād huuñ ḳhālī makānoñ kī tarah
jam.a hai kuuze sā mujh meñ umr bhar kā shor-o-ġhul
lag rahe haiñ zehn-o-dil naqqār-ḳhānoñ kī tarah
mujh ko siipī sā Dhake rahtā hai miTTī par falak
hashr meñ niklūñ kahīñ motī ke dānoñ kī tarah
za.afrān-e-fan banegā virsa-e-urdu mirā
maiñ ne bhī alfāz bo.e haiñ kisānoñ kī tarah
kashtiyon ke khilkhilate baadbanon ki tarah
raat bhar ugte hain chehre gum KHazanon ki tarah
ho na hir-phir sair-e-gul ko ja rahi hai faKHta
phir hawa chalne lagi hai naujawanon ki tarah
barha jo mujh se Takraati hai meri gunj hai
main bhi KHush-abaad hun KHali makanon ki tarah
jama hai kuze sa mujh mein umr bhar ka shor-o-ghul
lag rahe hain zehn-o-dil naqqar-KHanon ki tarah
mujh ko sipi sa Dhake rahta hai miTTi par falak
hashr mein niklun kahin moti ke danon ki tarah
zafran-e-fan banega wirsa-e-urdu mera
main ne bhi alfaz boe hain kisanon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.