kasrat-e-gham se pareshan hun dil shad nahin
kasrat-e-ġham se pareshān huuñ dil shaad nahīñ
dām-e-ulfat meñ giraftār huuñ āzād nahīñ
pūchhte mujh se ho kyā merī musībat ai ḳhizr
rāh-e-gum-gashta huuñ manzil kā pata yaad nahīñ
ka.aba-o-dair-o-kalīsā meñ hai jalva us kā
kaun sā ghar hai jo is nuur se ābād nahīñ
dil-e-be-tāb ho rāzī-ba-razā-e-mahbūb
sheva-e-ahl-e-vafā nāla-o-fariyād nahīñ
daad bedād taġhāful sar-e-mahshar tauba
ye to manzūr hameñ ai sitam-ījād nahīñ
bijliyāñ aur bhī kauñdīñ sar-e-mahshar dil par
ham asīrān-e-mohabbat kahīñ āzād nahīñ
yuuñ sar-e-hashr 'samar' ko na girā nazroñ se
chaar hī din meñ tujhe ahd-e-vafā yaad nahīñ
kasrat-e-gham se pareshan hun dil shad nahin
dam-e-ulfat mein giraftar hun aazad nahin
puchhte mujh se ho kya meri musibat ai KHizr
rah-e-gum-gashta hun manzil ka pata yaad nahin
kaba-o-dair-o-kalisa mein hai jalwa us ka
kaun sa ghar hai jo is nur se aabaad nahin
dil-e-be-tab ho raazi-ba-raza-e-mahbub
shewa-e-ahl-e-wafa nala-o-fariyaad nahin
dad bedad taghaful sar-e-mahshar tauba
ye to manzur hamein ai sitam-ijad nahin
bijliyan aur bhi kaundin sar-e-mahshar dil par
hum asiran-e-mohabbat kahin aazad nahin
yun sar-e-hashr 'samar' ko na gira nazron se
chaar hi din mein tujhe ahd-e-wafa yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.