Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaT gai zindagi tazabzub mein

Shagufta Naim Hashmi

kaT gai zindagi tazabzub mein

Shagufta Naim Hashmi

MORE BYShagufta Naim Hashmi

    kaT ga.ī zindagī tazabzub meñ

    kuchh agar kuchh magar ke biich kahīñ

    na musalmāñ hue na kufr kiyā

    rah ga.e ḳhair-o-shar ke biich kahīñ

    dar kahāñ hai kahāñ haiñ dīvāreñ

    kho ga.e apne ghar ke biich kahīñ

    baat bāhar nikal jaatī hai

    koī rauzan hai dar ke biich kahīñ

    mujh ko manzil se duur karte ga.e

    na.e raste safar ke biich kahīñ

    siip tak rāsta banā legā

    ek qatra lahar ke biich kahīñ

    un ghar yaad hai to bas itnā

    ik galī hai shahar ke biich kahīñ

    har kahānī meñ ik kahānī hai

    ik ḳhabar hai ḳhabar ke biich kahīñ

    kaT gai zindagi tazabzub mein

    kuchh agar kuchh magar ke bich kahin

    na musalman hue na kufr kiya

    rah gae KHair-o-shar ke bich kahin

    dar kahan hai kahan hain diwaren

    kho gae apne ghar ke bich kahin

    baat bahar nikal hi jati hai

    koi rauzan hai dar ke bich kahin

    mujh ko manzil se dur karte gae

    nae raste safar ke bich kahin

    sip tak rasta bana lega

    ek qatra lahar ke bich kahin

    un ka ghar yaad hai to bas itna

    ek gali hai shahar ke bich kahin

    har kahani mein ek kahani hai

    ek KHabar hai KHabar ke bich kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now