kaTa-phaTa tha marammat kiya gaya hun main
kaTā-phaTā thā marammat kiyā gayā huuñ maiñ
udheḌne ke liye phir siyā gayā huuñ maiñ
paḌā fuzūl thā qudrat ke kār-ḳhāne meñ
isī liye hī to ḳhud ko diyā gayā huuñ maiñ
nigalnā jab huā mushkil mirī haqīqat ko
to kaḌve ghūñT kī sūrat piyā gayā huuñ maiñ
mirī kahānī kā to ḳhud ḳhudā musannif thā
kisī kahānī se kaise liyā gayā huuñ maiñ
mirā janm thā kisī aur hī zamāne kā
phir is zamāne meñ kaise jiyā gayā huuñ maiñ
amānatoñ meñ ḳhayānat kiyā nahīñ karte
havā ke haath pe rakh kar diyā gayā huuñ maiñ
kaTa-phaTa tha marammat kiya gaya hun main
udheDne ke liye phir siya gaya hun main
paDa fuzul tha qudrat ke kar-KHane mein
isi liye hi to KHud ko diya gaya hun main
nigalna jab hua mushkil meri haqiqat ko
to kaDwe ghunT ki surat piya gaya hun main
meri kahani ka to KHud KHuda musannif tha
kisi kahani se kaise liya gaya hun main
mera janm tha kisi aur hi zamane ka
phir is zamane mein kaise jiya gaya hun main
amanaton mein KHayanat kiya nahin karte
hawa ke hath pe rakh kar diya gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.