kaTh-putli ke rup mein aaqa dekhe dekhe lagte hain
kaTh-putlī ke ruup meñ aaqā dekhe dekhe lagte haiñ
Dor hilāne vaale bhī kuchh bahke bahke rakhte haiñ
aaj tumhāre aage apnā siina chiir ke rakhte haiñ
dekho us par tīr-e-hiqārat kaise kaise lagte haiñ
jab tak ham se kaam the un ko kitne ḳhās-ul-ḳhās the ham
ab hai ye auqāt hamārī aise-vaise lagte haiñ
aaj kā ishq bahut nādir hai apne bas kā rog nahīñ
ishq-e-butāñ meñ mere yaaro paise-vaise lagte haiñ
baam pe us ko aanā kab thā phir bhī us kī diid kī ḳhātir
lambī qatāroñ meñ ham jaise jaise-taise lagte haiñ
kaTh-putli ke rup mein aaqa dekhe dekhe lagte hain
Dor hilane wale bhi kuchh bahke bahke rakhte hain
aaj tumhaare aage apna sina chir ke rakhte hain
dekho us par tir-e-hiqarat kaise kaise lagte hain
jab tak hum se kaam the un ko kitne KHas-ul-KHas the hum
ab hai ye auqat hamari aise-waise lagte hain
aaj ka ishq bahut nadir hai apne bas ka rog nahin
ishq-e-butan mein mere yaro paise-waise lagte hain
baam pe us ko aana kab tha phir bhi us ki did ki KHatir
lambi qataron mein hum jaise jaise-taise lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.