kaThin haalat mein apne iradon ko jawan rakhna
kaThin hālāt meñ apne irādoñ ko javāñ rakhnā
hameñ aatā hai dil meñ sho.ala-e-ġham ko nihāñ rakhnā
akele ghar meñ kaise vaqt kāTo.ge tan-e-tanhā
koī tasvīr laTkā kar sar-e-dīvār-e-jāñ rakhnā
hamārī fikr tum chhoḌo hameñ ye kaam aatā hai
añdheroñ meñ basar karnā nazar meñ kahkashāñ rakhnā
ajal aur zindagī kī dostī ik harf-e-bātil hai
bahut dushvār hai paanī pe buniyād-e-makāñ rakhnā
chaman par ek din fasl-e-ḳhizāñ kā raaj bhī hogā
abas hai dil meñ armān-e-bahār-e-jāvedāñ rakhnā
na jaane is meñ poshīda haiñ us kī hikmateñ kyā kyā
hamesha gardishoñ meñ ye zamīn-o-āsmāñ rakhnā
kahāñ āsān hai ahl-e-suḳhan kī bhiiḌ meñ 'shāhid'
judā auroñ se apnā tarz-e-guftār-o-bayāñ rakhnā
kaThin haalat mein apne iradon ko jawan rakhna
hamein aata hai dil mein shoala-e-gham ko nihan rakhna
akele ghar mein kaise waqt kaToge tan-e-tanha
koi taswir laTka kar sar-e-diwar-e-jaan rakhna
hamari fikr tum chhoDo hamein ye kaam aata hai
andheron mein basar karna nazar mein kahkashan rakhna
ajal aur zindagi ki dosti ek harf-e-baatil hai
bahut dushwar hai pani pe buniyaad-e-makan rakhna
chaman par ek din fasl-e-KHizan ka raj bhi hoga
abas hai dil mein arman-e-bahaar-e-jawedan rakhna
na jaane is mein poshida hain us ki hikmaten kya kya
hamesha gardishon mein ye zamin-o-asman rakhna
kahan aasan hai ahl-e-suKHan ki bhiD mein 'shahid'
juda auron se apna tarz-e-guftar-o-bayan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.