kaTi hai umr gunahgar-e-zindagi ki tarah
kaTī hai 'umr gunahgār-e-zindagī kī tarah
dayār-e-dost se guzre haiñ ajnabī kī tarah
baḌā karam hai ye mujh par ġham-e-mohabbat ka
ġham-e-hayāt bhī raas aa gayā ḳhushī kī tarah
tire sulūk pe mujh ko baḌā ta'ajjub hai
na dushmanī kī tarah hai na dostī kī tarah
vo ḳhvāb jin meñ tirā husn raqs-farmā thā
bikhar ga.e haiñ pareshān zindagī kī tarah
bahār aa ke ye kyā gul khilā ga.ī yārab
guloñ ke ruḳh pe hañsī hai fasurdagī kī tarah
charāġh jal to ga.e raushnī ka naam nahīñ
vo raushnī jo nazar aa.e raushnī kī tarah
vo duur rah ke bhī ab duur rah nahīñ sakte
ham un kī yaad se mānūs haiñ unhī kī tarah
qamar-jamāl kahūñ kyoñ na un ke jalvoñ ko
utar ga.e vo mire dil meñ chāñdnī kī tarah
kisī kī yād-e-bahār-āfrīñ ka kyā kahnā
khilī hai dil kī kalī vāqa'ī kalī kī tarah
kaTi hai 'umr gunahgar-e-zindagi ki tarah
dayar-e-dost se guzre hain ajnabi ki tarah
baDa karam hai ye mujh par gham-e-mohabbat ka
gham-e-hayat bhi ras aa gaya KHushi ki tarah
tere suluk pe mujh ko baDa ta'ajjub hai
na dushmani ki tarah hai na dosti ki tarah
wo KHwab jin mein tera husn raqs-farma tha
bikhar gae hain pareshan zindagi ki tarah
bahaar aa ke ye kya gul khila gai yarab
gulon ke ruKH pe hansi hai fasurdagi ki tarah
charagh jal to gae raushni ka nam nahin
wo raushni jo nazar aae raushni ki tarah
wo dur rah ke bhi ab dur rah nahin sakte
hum un ki yaad se manus hain unhi ki tarah
qamar-jamal kahun kyon na un ke jalwon ko
utar gae wo mere dil mein chandni ki tarah
kisi ki yaad-e-bahaar-afrin ka kya kahna
khili hai dil ki kali waqa'i kali ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.