kaTne ko umr kaT gai puchho na kya mila
kaTne ko 'umr kaT ga.ī pūchho na kyā milā
apnī ḳhabar na mujh ko na apnā patā milā
gandum kī fasl ho nahīñ saktī javār se
mujh ko bure 'amal kā natīja burā milā
sho'la ho yā hubāb ho yā ho gul-e-chaman
koī na is jahāñ meñ hameñ der-pā milā
ik ham haiñ jin ko zindagī-e-muḳhtasar milī
ik ḳhizr-e-pāk haiñ jinheñ āb-e-baqā milā
achchhā samajh rahā huuñ har ik aadmī ko maiñ
hālāñki jo milā vo bure se burā milā
ġham meñ girā na aañkh se ashkoñ kī qadr kar
miTTī meñ tū na aise dur-e-be-bahā milā
mujh par khulā jo man-‘arafa-nafsahū paḌhā
pahchānā jis ne aap ko us ko ḳhudā milā
tauba huī qubūl ba-vaqt-e-aḳhīr bhī
bāb-e-karam ḳhudā kā hamesha khulā milā
jis ko vafā kā paas ho jis meñ ḳhulūs ho
aisā na koī aadmī is daur kā milā
de sāġhar-e-tahī bhī to kuchh ġham nahīñ mujhe
āñkheñ uThā nazar se nazar sāqiyā milā
ab aarzū rahī na kisī aur chiiz kī
sad-shukr hai ki mujh ko dar-e-mustafā milā
kyā kyā milā na bāb-e-rasūl-e-karīm se
'izzat milī faroġh milā mudda'ā milā
ḳhāqān-e-chīn-o-qaisar-o-kisrā kī kyā bisāt
in se sivā rasūl ke dar kā gadā milā
rif’at meñ martabe meñ buzurgī meñ yā-nabī
bā’d-e-ḳhudā na ham ko koī aap sā milā
mahshar meñ āftāb kī hiddat se bach gayā
dāmān-e-mustafā kā mujhe aasrā milā
duniyā meñ apnī apnī paḌī hai har ek ko
'bartar' na koī banda-e-be-mudda’ā milā
kaTne ko 'umr kaT gai puchho na kya mila
apni KHabar na mujh ko na apna pata mila
gandum ki fasl ho nahin sakti jawar se
mujh ko bure 'amal ka natija bura mila
sho'la ho ya hubab ho ya ho gul-e-chaman
koi na is jahan mein hamein der-pa mila
ek hum hain jin ko zindagi-e-muKHtasar mili
ek KHizr-e-pak hain jinhen aab-e-baqa mila
achchha samajh raha hun har ek aadmi ko main
haalanki jo mila wo bure se bura mila
gham mein gira na aankh se ashkon ki qadr kar
miTTi mein tu na aise dur-e-be-baha mila
mujh par khula jo man-‘arafa-nafsahu paDha
pahchana jis ne aap ko us ko KHuda mila
tauba hui qubul ba-waqt-e-aKHir bhi
bab-e-karam KHuda ka hamesha khula mila
jis ko wafa ka pas ho jis mein KHulus ho
aisa na koi aadmi is daur ka mila
de saghar-e-tahi bhi to kuchh gham nahin mujhe
aankhen uTha nazar se nazar saqiya mila
ab aarzu rahi na kisi aur chiz ki
sad-shukr hai ki mujh ko dar-e-mustafa mila
kya kya mila na bab-e-rasul-e-karim se
'izzat mili farogh mila mudda'a mila
KHaqan-e-chin-o-qaisar-o-kisra ki kya bisat
in se siwa rasul ke dar ka gada mila
rif’at mein martabe mein buzurgi mein ya-nabi
ba’d-e-KHuda na hum ko koi aap sa mila
mahshar mein aaftab ki hiddat se bach gaya
daman-e-mustafa ka mujhe aasra mila
duniya mein apni apni paDi hai har ek ko
'bartar' na koi banda-e-be-mudda’a mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.