kaTtā hai azaab sher kah kar
miltā hai savāb sher kah kar
dekhūñ kyā gul khilā rahe ho
laao to javāb sher kah kar
kyā sher ke jauharī yahīñ haiñ
laayā huuñ janāb sher kah kar
niiñd aa.egī is vazīfe ke baad
dekhūñgā ḳhvāb sher kah kar
koī mirā mo'tarif nahīñ hai
maiñ huuñ be-tāb sher kah kar
kuchh log ḳharāb ho rahe haiñ
bechāre ḳharāb sher kah kar
guldasta-e-fikr-e-nau yahī hai
khilte haiñ gulāb sher kah kar
tū ḳhush hai ki aaya vaqt-e-tanqīd
maiñ huuñ shādāb sher kah kar
merā hī bharam baḌhā rahe haiñ
mere ahbāb sher kah kar
'yāsir' tū dil-girafta kyoñ hai
lā aur kitāb sher kah kar
kaTta hai azab sher kah kar
milta hai sawab sher kah kar
dekhun kya gul khila rahe ho
lao to jawab sher kah kar
kya sher ke jauhari yahin hain
laya hun janab sher kah kar
nind aaegi is wazife ke baad
dekhunga KHwab sher kah kar
koi mera mo'tarif nahin hai
main hun be-tab sher kah kar
kuchh log KHarab ho rahe hain
bechaare KHarab sher kah kar
guldasta-e-fikr-e-nau yahi hai
khilte hain gulab sher kah kar
tu KHush hai ki aaya waqt-e-tanqid
main hun shadab sher kah kar
mera hi bharam baDha rahe hain
mere ahbab sher kah kar
'yasir' tu dil-girafta kyon hai
la aur kitab sher kah kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.