kaTta hi nahin jaane mera kaisa safar hai
kaTtā hī nahīñ jaane mirā kaisā safar hai
lagtā hai mirā ret ke sahrāoñ meñ ghar hai
tanhā to kabhī mujh ko vo rahne nahīñ detā
maiñ kuchh bhī karūñ us ko to har aan ḳhabar hai
har shaḳhs ko mil jaatā hai paisoñ se yahāñ pyaar
kaise yahāñ insān haiñ kaisā ye nagar hai
ik shaḳhs yahāñ shab meñ jalātā hai gharoñ ko
phir sab ko batātā hai ki dekho ye sahar hai
ye jaan lo kuchh mujh se kabhī jhuuT na kahnā
ai yaar mire ḳhauf-e-ḳhudā tum ko agar hai
zāhir jo na kar phir bhī hameñ kuchh to batā de
ḳhvāboñ meñ tire kaun hai ye kis kā asar hai
kal raat mire ḳhvāb koī le gayā 'minhāj'
ab niiñd hai āñkhoñ meñ na tanhā.ī kā Dar hai
kaTta hi nahin jaane mera kaisa safar hai
lagta hai mera ret ke sahraon mein ghar hai
tanha to kabhi mujh ko wo rahne nahin deta
main kuchh bhi karun us ko to har aan KHabar hai
har shaKHs ko mil jata hai paison se yahan pyar
kaise yahan insan hain kaisa ye nagar hai
ek shaKHs yahan shab mein jalata hai gharon ko
phir sab ko batata hai ki dekho ye sahar hai
ye jaan lo kuchh mujh se kabhi jhuT na kahna
ai yar mere KHauf-e-KHuda tum ko agar hai
zahir jo na kar phir bhi hamein kuchh to bata de
KHwabon mein tere kaun hai ye kis ka asar hai
kal raat mere KHwab koi le gaya 'minhaj'
ab nind hai aankhon mein na tanhai ka Dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.