kaTte hain baDe chain se din-raat safar mein
kaTte haiñ baḌe chain se din-rāt safar meñ
saaya bhī nahīñ ab to mire saath safar meñ
jī bhar ke tujhe dekh hī lete dam-e-ruḳhsat
kal kaise hoñ kyā jāniye hālāt safar meñ
tajdīd-e-ta.alluq ke liye kuchh to bachā luuñ
shāyad kabhī ho us se mulāqāt safar meñ
dhul hī na sakā naqsh tirī yaad kā dil se
ashkoñ kī liye phirte haiñ barsāt safar meñ
jin ke liye ḳhāmosh thiiñ āñkheñ bhī zabāñ bhī
aise bhī hue ham pe savālāt safar meñ
shāyad kahīñ mil jaa.eñ 'shakīl' ahl-e-mohabbat
sheroñ kī liye phirte haiñ sauġhāt safar meñ
kaTte hain baDe chain se din-raat safar mein
saya bhi nahin ab to mere sath safar mein
ji bhar ke tujhe dekh hi lete dam-e-ruKHsat
kal kaise hon kya jaaniye haalat safar mein
tajdid-e-talluq ke liye kuchh to bacha lun
shayad kabhi ho us se mulaqat safar mein
dhul hi na saka naqsh teri yaad ka dil se
ashkon ki liye phirte hain barsat safar mein
jin ke liye KHamosh thin aankhen bhi zaban bhi
aise bhi hue hum pe sawalat safar mein
shayad kahin mil jaen 'shakil' ahl-e-mohabbat
sheron ki liye phirte hain saughat safar mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 103)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.