kaTte hi Dor sans ki nam-o-numud KHak
kaTte hī Dor saañs kī nām-o-numūd ḳhaak
honā hai ek roz ye qasr-e-vajūd ḳhaak
TuuTā kisī kā dil jo girā dūsrī taraf
mīzān meñ paḌā tirā raḳht-e-sujūd ḳhaak
tajsīm kar rahā hai vo dast-e-kamāl se
ātish-parast dahriye muslim hunūd ḳhaak
is mahfil-e-tarab meñ nahīñ chāshnī koī
dil meñ ramaq na ho agar bazm-e-surūd ḳhaak
baḌhne lage haiñ chār-sū rasmoñ ke dā.ere
Thokar lagā ke paañv kī kar duuñ quyūd ḳhaak
ye qaum un hī rāstoñ pe chal paḌī hai phir
jin par huiiñ thiiñ ek din ād-o-samūd ḳhaak
siine meñ koī aag hai 'arshad' lagī huī
varna hamārī aañkh se uThtā ye duud ḳhaak
kaTte hi Dor sans ki nam-o-numud KHak
hona hai ek roz ye qasr-e-wajud KHak
TuTa kisi ka dil jo gira dusri taraf
mizan mein paDa tera raKHt-e-sujud KHak
tajsim kar raha hai wo dast-e-kamal se
aatish-parast dahriye muslim hunud KHak
is mahfil-e-tarab mein nahin chashni koi
dil mein ramaq na ho agar bazm-e-surud KHak
baDhne lage hain chaar-su rasmon ke daere
Thokar laga ke panw ki kar dun quyud KHak
ye qaum un hi raston pe chal paDi hai phir
jin par huin thin ek din aad-o-samud KHak
sine mein koi aag hai 'arshad' lagi hui
warna hamari aankh se uThta ye dud KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.