kaun aa gaya ye hashr ka saman liye hue
kaun aa gayā ye hashr kā sāmāñ liye hue
dāman meñ apne merā garebāñ liye hue
har ek ġham hai 'aish kā 'unvāñ liye hue
shām-e-ḳhizāñ hai sub.h-e-bahārāñ liye hue
sajda hai merā zauq-e-farāvāñ liye hue
uTThegā ab to sar dar-e-jānāñ liye hue
ba.ad-e-rihā.ī bhī na maiñ zindāñ se jā.ūñgā
baiThā rahūñgā izzat-e-zindāñ liye hue
ab bhī na ḳhanda-lab hoñ mire zaḳhm-hā-e-dil
vo muskurā rahe haiñ namak-dāñ liye hue
ai chāra-sāz baiTh ye chāragarī bhī dekh
uTThegā merā dard hī darmāñ liye hue
rangīnī-e-tabassum-e-paiham na pūchhiye
jaise vo aa rahe hoñ gulistāñ liye hue
aisā bhī kaash aa.e mohabbat meñ inqalāb
vo aa.eñ merī diid kā armāñ liye hue
kaisī bahār aa.ī hai ab ke ba-rang-e-nau
har ek gul hai ḳhūn-e-shahīdāñ liye hue
imkān-e-sahv ham se bhī mumkin hai ai 'shifā'
insāniyat kā ham bhī haiñ imkāñ liye hue
kaun aa gaya ye hashr ka saman liye hue
daman mein apne mera gareban liye hue
har ek gham hai 'aish ka 'unwan liye hue
sham-e-KHizan hai subh-e-bahaaran liye hue
sajda hai mera zauq-e-farawan liye hue
uTThega ab to sar dar-e-jaanan liye hue
baad-e-rihai bhi na main zindan se jaunga
baiTha rahunga izzat-e-zindan liye hue
ab bhi na KHanda-lab hon mere zaKHm-ha-e-dil
wo muskura rahe hain namak-dan liye hue
ai chaara-saz baiTh ye chaaragari bhi dekh
uTThega mera dard hi darman liye hue
rangini-e-tabassum-e-paiham na puchhiye
jaise wo aa rahe hon gulistan liye hue
aisa bhi kash aae mohabbat mein inqalab
wo aaen meri did ka arman liye hue
kaisi bahaar aai hai ab ke ba-rang-e-nau
har ek gul hai KHun-e-shahidan liye hue
imkan-e-sahw hum se bhi mumkin hai ai 'shifa'
insaniyat ka hum bhi hain imkan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.