kaun aashna hai kis pe nazar jae shahr mein
kaun āshnā hai kis pe nazar jaa.e shahr meñ
āḳhir ġharīb-e-shahr kidhar jaa.e shahr meñ
shīshoñ se haar kar talab-e-sañg meñ koī
simTe to reza reza bikhar jaa.e shahr meñ
itnā bhī tañg arsa-e-jāñ shahr par na kar
roz ik qabīla jaañ se guzar jaa.e shahr meñ
ab tak qadam hī dhuup meñ Thahre haiñ is taraf
tū chhāñv de to dil bhī Thahar jaa.e shahr meñ
sahrā kī aag pakke gharoñ tak to aa ga.ī
ab ye bhaḌaktī aag jidhar jaa.e shahr meñ
itnā na sochtā chale bāzār meñ koī
ghar us kā muntazir ho vo mar jaa.e shahr meñ
kaun aashna hai kis pe nazar jae shahr mein
aaKHir gharib-e-shahr kidhar jae shahr mein
shishon se haar kar talab-e-sang mein koi
simTe to reza reza bikhar jae shahr mein
itna bhi tang arsa-e-jaan shahr par na kar
roz ek qabila jaan se guzar jae shahr mein
ab tak qadam hi dhup mein Thahre hain is taraf
tu chhanw de to dil bhi Thahar jae shahr mein
sahra ki aag pakke gharon tak to aa gai
ab ye bhaDakti aag jidhar jae shahr mein
itna na sochta chale bazar mein koi
ghar us ka muntazir ho wo mar jae shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.